Mushaira

|:| राखी का बंधन / Rakhi Ka Bandhan |:|

0
Ek dor anguli mein hansti duje ka nahin chhor
Rakhi ka bndhan hai pyara khoob machata shor

Bahana ka bhai ka nata ehsason ka tanaa-banaa

Bahna bhai ka rishta pavitr bandhan ka khazana
Bachpan se jis chah me ubhari chahat ki bhor
Bahna kare agwani usaki bandh kalayi dor

Preet reet sang rakhi umangiy tarana

Bharat ka hai ek sanskritik taran
Sadiyan jisamein sanwar gayi dekh kayi hilor
Bhai bahna ke ees sangam ka na koi daur

Pulkit parv bandhan ko dekhe sara zamana

Ek samarpan, ek vishwas rishta rahe sayana
Vishw ko deta nayi seekh baharat ka yah thaur
Bhai bahna sang khilta hai raksha ka naya shaury

Ek dor anguli mein hansti duje ka nahin chhor

Rakhi ka bndhan hai pyara khoob machata shor


एक डोर अंगुली में हंसती दूजे का नहीं छोर
राखी का बंधन है प्यारा खूब मचाता शोर

बहना का भाई से नाता अहसासों का ताना-बना

बहना भाई का रिश्ता पवित्र बंधन का खजाना
बचपन से जिस चाह में उभरी चाहत की भोर
बहना करे अगवानी उसकी बांध कलाई डोर

प्रीत रीत संग राखी उमंगीय तराना

भारत का है एक सांस्कृतिक तराना
सदियाँ जिसमें सवंर गयी देख कई हिलोर
भाई बहना के इस संगम का ना कोई दौर

पुलकित पर्व बंधन को देखे सारा जमाना

एक समर्पण, एक विश्वास रिश्ता रहे सयाना
विश्व को देता नयी सीख भारत का यह ठौर
भाई बहना संग खिलता है रक्षा का नया शौर्य

एक डोर अंगुली में हंसती दूजे का नहीं छोर

राखी का बंधन है प्यारा खूब मचाता शोर

Gam-e-duniya se gar pai bhi fursat sar uthane ki (RRG)

0
Gam-e-duniya se gar pai bhi fursat sar uthane ki
falak ka dekhna taqrib tere yad ane ki

khulega kis tarah mazmun mere maktub ka yarab
qasam khai hai us kafir ne kagaz k jalane ki

lipatna paraniyan main shola-e-atish ka asan hai
wale mushkil hai hikmat dil main soz-e-gam chupane ki

unhen manzur apne zakhmiyon ka dekh ana tha
uthe the sair-e-gul ko dekhna shokhi bahane ki

hamari sadagi thi iltafat-e-naz par marna
tera ana na tha zalim magar tamahid jane ki

laqad-kob-e-hawadis ka tahammul kar nahin sakti
meri taqat k zamin thi buton k naz uthane ki
kahun kya khubi-e-auzag-e-ibna-e-zaman "Ghalib"
badi ki usne jis se hamne ki thi barha neki

Sadiyon Ka Farq (RRG)

0
Sadiyon Ka Farq Parhta Hai Lamhon Ke Phaair Me

Jo Ghum Hai Aaj Ka Usay Kal Par Naa Taaliye

~!!!~ Ik aadat si ho gai hai Chot khany ki ~!!!~ (RRG)

0
~!!!~ Ik aadat si ho gai hai Chot khany ki ~!!!~

Bigi howi Palkon k sang Muskorany ki

Kaash ANJAM-e-WAFA hum pehly jaan jaty

To Kossh b na karty tery sang DiL lagany ki

~!!!~ Ik aadat si ho gai hai Chot khany ki ~!!!~

Meri Masoom Si Dunia Me Naa Aaye Hotey (RRG)

0
Meri Masoom Si Dunia Me Naa Aaye Hotey

Meri Aankhon Ko Na Koi Khuwaab Dikhaya Hota

Kashti-e-Ghum Me Bithaa Kar Jaaney Waley

Koi Rasta Manzil Ka Hamein Bataya Hota

Ghuzar-Gaya-So-Ghuzar-Gaya (RRG)

0
DBB Lover @ RRG PrEsEnTs


|:| Rulana Har Kisi Ko Aata Hai |:|

0
Rulana Har Kisi Ko Aata Hai,
Hasana Kisi Kisi Ko Aata Hai,
Rula Ke Jo Mana Le Wo Sachha Yaar Hai
Aur Jo Rula Ke Khudh Bhi Aansu Bahaye
Wo Tumhara Pyar Hai !!

Aaj Har Ek Pal Khoobsurat Hai
Dil Me Mere Sirf Teri Surat Hai
Kuch Bhi Kahe Ye Duniya Gham Nahi
Duniya Se Jyada Mujhe Teri Zarurat Hai.

Bar Bar Chahe Dil Rota Hai
Par Isme Bhi Chahat Ka Nasha Hota Hai
Jitna Chahe Bach Lo, Par Zindagi Mein
Ek Bar Pyaar Jaroor Hota Hai !!

Dard Me Koi Mausam Pyara Nahin Hota
Dil Ho Pyasa To Pani Se Gujara Nahin Hota
Dekhe Zara Koi Bebsi Hamari,Hum Uske Ho
Gaye Jo Hamara Nahin Hota !!

Hum Ne Tanhai Me Zanzeer Se Baaten Ki Hai
Apni Soi Huwi Taqdeer Se Baate Ki Hai
Tere Didar Ki Kya Tamanna Hogi
Zindagi Bhar Teri Tasweer Se Baaten Ki Hai

Pyar Me Bewafai Mile To Gum Na Karna
Apni Aankhe Kisi Ke Liye Num Na Karna
Wo Chahe Laakh Nafrat Kare Tumse
Par Tum Apna Pyar Kabhi Uske Liye Kam Na Karna

Aadat Hai Teri Yaad Aane Ki Ankhoko
Teri Ek Zalak Pane Ki Hamari To
Tamanna Hai Apko Pane Ki Par Shayad
Aapki Aadat Hai Hame Tadpane Ki!!

Har Baat Ka Koi Jawab Nhi Hota,
Har Ishq Ka Naam Khrab Nhi Hota,
Yu To Zhoom Lete He Nashe Me Pine Wale,
Par Har Nashe Ka Naam Sharab Nhi Hota..

Kitna Haseen Phir Se Nazaara Bana Diya,
Jaise Khuda Ne Tum Ko Doobaara Bana Diya,
Aaya Tha Imtihaan Me Mazmoon Husn Par,
Hum Ne Paper Par Chehra Tumhaara Bana Diya

Kya Gham He Kya Khushi Malum Nahi,
Wo Apna Hai Ki Ajnabi Malum Nahi,
Jiske Bina Ek Pal Nahi Guzarta,
Kaise Guzregi Zindagi Malum Nahi

Pyaar Pe Bas To Nahi Hai Mera
Lekin Fir Bhi Tu Mujhe Bata De Ki
Tujhe Pyaar Karu Ki Na Tune Khud
Apni Adao Se Jagaya Hai Jinhe Un
Tamanao Ka Ijhar Karu Ki Na !!

Dur Hi Sahi Kinara To Hai,
Tim-Timata Hi Sahi Sitara To Hai,
Ho Jati Hai,Tumari Yaad Se Hi Tassali,
Tinka Hi Sahi Sahara To Hai !!

You Mile Ke Mulakat Na Hosaki
Suraj Duba Par Rat Hona Saki
Meri Khamosh Nigahe Har Baat Keh Gai
Aur Usko Shikayat Hai Ki Bat Ho Na Saki..

مجھے لکھنے کی خواہش ہے ۔۔۔ (rrg)

0
مجھے لکھنے کی خواہش ہے ۔۔۔


مجھے لکھنے کی خواہش ہے ۔۔۔
مگر لکھا نہیں جاتا
میرے الفاظ دل کی آہنی دیوار سے سر پھوڑتے ہیں
اور انہیں اظہار کا رستہ نہیں ملتا
میری آنکھیں جنھیں دِل میں چھپے جذبات کو اشکوں کی بولی میں
بتا دینے پہ قدرت تھی
وہ اب کچھ بھی نہیں کہتیں
میرے یہ لب !
جو دل کی ان کہی باتوں کو کہنے سے نہ ڈرتے تھے
وہ لب کچھ بھی نہیں کہتے
میرے یہ اُنگلیاں !
جو دل میں چُھپے جذبات کو اظہار کا رستہ بتاتی تھیں
وہ اب کچھ بھی نہیں لکھتیں
میری آنکھیں، یہ لب، یہ اُنگلیاں مجھ سے کہتے ہیں
کہ اب جذبات کو اظہار کا رستہ نہیں دینا
کہ یہ منہ زور ہوتے ہیں
فقط رستے کے ملنے سے
انہیں منزل تلک جانے کی حاجت ہی نہیں رہتی
نئے رستے پہ جاتے ہیں
نئی راہیں بناتے ہیں
مگر پھر واپسی کے سب نشاں یہ بھول جاتے ہیں
انہیں رستہ نہیں دینا
انہیں تم دِل میں رہنے دو !
وگرنہ خوں رُلائیں گے
انہیں رستہ نہیں دینا
انہیں تم دِل میں رہنے دو !
مجھے لکھنے کی خواہش ہے
مگر لکھا نہیں جاتا

" WAQT NAHI " [RdY]

0


" WAQT NAHI "

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi .

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.......


ansuon ki ek boond hoon main [RdY]

0



Go to Top